Woh hausla ab bhi baaki hai
Khud ko wapas jeet launga mai
Un sabhi pareshaniyo ko harakar
Uljhano ko suljha paunga mai
Un sabhi yaadon ko mitakar
Kahin door virane mai dafna aaunga mai
Woh umeed ab bhi baaki hai
Khud ko wapas se jeet launga mai
Hua karta tha jaisa ek waqt mai,
Fir se waisa ho jaunga mai
Aaine mai khud ko dekh shaan se apna naam le paunga mai
Woh jazba ab bhi baaki hai
Sab kuch theek kar paunga mai
Kamyabi ka geet gunguna kar
Chehre ka shikan mita paunga mai
Woh umeed ab bhi baaki hai
Gir kar sambhal jaunga mai
Un parindo ki uchaaiyo ko chookar
Thoda aur oocha ud jaunga mai
Ek umeed ab bhi baaki hai
Gir kar sambhal jaunga mai
Khud ko wapas jeet launga mai
Khud ko wapas jeet launga mai
Un sabhi pareshaniyo ko harakar
Uljhano ko suljha paunga mai
Un sabhi yaadon ko mitakar
Kahin door virane mai dafna aaunga mai
Woh umeed ab bhi baaki hai
Khud ko wapas se jeet launga mai
Hua karta tha jaisa ek waqt mai,
Fir se waisa ho jaunga mai
Aaine mai khud ko dekh shaan se apna naam le paunga mai
Woh jazba ab bhi baaki hai
Sab kuch theek kar paunga mai
Kamyabi ka geet gunguna kar
Chehre ka shikan mita paunga mai
Woh umeed ab bhi baaki hai
Gir kar sambhal jaunga mai
Un parindo ki uchaaiyo ko chookar
Thoda aur oocha ud jaunga mai
Ek umeed ab bhi baaki hai
Gir kar sambhal jaunga mai
Khud ko wapas jeet launga mai
No comments:
Post a Comment