Friday, 27 January 2012

Confused, I'm


Pyar , kya hai yeh pyar?

Din mai sapne,dikhata hai yeh pyar;
kisi aur ki fikar karna, sikhata hai yeh pyar.

har pal usse milne ki bechaini,
aur sirf milne par, hi aata hai karaar;

Khud ko bhool jana, aur jab kuch yaad aaye to;
Woh hoti hain uski baatein hazaar;

Har baar khud se poochta hu,
kya ise hi kehte hain pyaar;

Jab sapno pe,yakeen hone lage,
Padne ka maksad, use paana lage,
Kya tabhi hota hai yeh pyar?

Kyun hoon itna bechain, aajkal mai yaar,
Koi to batao, kya yahi hai woh pyar,
Kya yahi hai woh pyar, barso se tha mujhe, jiska intezaar;

No comments:

Post a Comment